Gay Love Story

Mai aksar apne wajan ko leker pareshan rehta tha. Is bar bhi aisa hi hua. Mere dost kunal ne kaha ki, Paisa jarur kharcha honga, par tumara wajan badana jaruri hai. mai shahar ke acche doctor ko janta hu. tuje milwa deta hu.
         Agle din subah mai Dr. Rupesh ki clinic me tha. unone dher sare salawl kiye. "khana nahi khate ho kya? dhood nahi pite ho kya?" etc etc. fir unhone muje homiopathy ki mitthi-mitthi dawaiya di. aur pine ko choclate drink diya. kaha ki, "ilaj me waqt lagenga. aur 15 dino bad clinic me aana padenga." mai roj dawai khane laga. jaisa Dr. rupesh ne kaha waisa hi karne laga.kuch dino me hi shakti ka ehsas hone laga. ab mera wahjan badh gaya tha. sath hi aisas hua ki dil me kuch panapane laga hai.
        Shayad dr. Rupesh ki personalilty hi muje actract kar rahi thi. Pahli najar me pyar suna tha, lekin uska ehsas muje aaj ho raha tha. Dr. Rupesh ki bato ka jadu & unki smile mere sir chad ke bol rahi thi mai unki pyar me is kadar khoya tha ki mai ass pass ki hakikat ko nahi dekh pa raha tha. mulakate hoti rahi. Mai unhe dekh kar na jane konse duniya me kho jata tha. Kuch rishte sach me itne sundar hote hai, jin se jindagi mehakti hai. Is samay toh muje kuch samaj hi nahi raha tha. Mai unke pyar me itna kho gaya tha ki, mai bhul hi gaya ki woh ek doctor hai aur mai unka patient hu. mai unke pyar ke aage bada jaa raha tha. kabhi-kabhi soch tha tha, yeh treatment aisa hi chalta rahe. Par aisa na ho saka, ilaj pura ho gaya aur unohe "apna khayal rakhna" kehkar mera dil tod diya. mai udas ho gaya. pata tha ye din bhi aayenga lekin itne jaldi pata nahi tha. Dil me utha pyar ka tufan mai kisa rokhu?
          Jab mai apne aap se tang aa gaya, aur ek din irada pakka kar ke unke pass ja kar dil ka haal baya kar diya. woh meri baat sun kar serious ho gaye. " Is umar me nadaniya ho jati hai, Mai tumari feeeling ka respect karta hu. lekin tumari age abhi kuch ban ne ki hai. career par focus karo. mai kisi aur se pyar karta hu aur apni rahe bhi alag-alag hai. kuch din baad sab thik honga. tumari aage ki jindagi ke liye, good luck!"
           Mai toh jaise aasman se sidha jameen par aa gira tha. suna tha tare tuth kar gite hai toh unhe bhi dard hota hai. mai bhi bahut dard se gujar raha tha, lekin is dard ka ilaj karane kaha jaau? Is umar me kya pata tha pyar bhi soch samaj kar kiya jata hai? is akele pan ki dawa kaha se laau? Na kisi se kuch keh sakta tha, Na kisi ke kandhe par sir rakh kar ro sakata tha. Maine socha shahar chhod deta hu, shyad tumari yado se chhutkara mil jayenga..... par kitna galat tha mai.
          Aaj wapas 7 saal bad dost ki shadi ki wajah se is shahar me aana hua. dost ki sagai me toh nahi aa saka, socha shadi me hi challa jau. Tume bhulne ki koshisho ne mera sath nahi diya. saalo ho gaye tum se mile huye.meri yado ke safar me tumne sath nahi chhoda. jab jab mai tanha hota, tum hawa ban ke mere aakho ke aasu ban kar bahar aate. ye pal mere liye anmol the, jo sirf mere the. mai tum se milna chahta tha, Jan na chata tha ki tumari jindagi ka safar kaisa chal raha hai, kya tume meri yaad aati bhi hai ya nahi? Achanak hi kisi ne mera naam piche se pukara..... palat kar dekha toh mera dost kunal ke sath Dr. rupesh the. woh dono relation me the. muje yad aaya kunal ne hi muje Rupesh se milwaya tha. mere hoth thartharane lage, aawaj baithne lagi....... aakho se aasu rokne ki nakam koshish me sab dhundla najar aane laga.kisi tarah maine kudh ko smbhala . dono ko good wishesh de kar apne safar par laut aaya. meri aakho se aasu firbah nikale. wah re meri kismat, tune bhi kya majak kiya, jo pehle se hi kisi aur ka tha, Ussi ke sapne aakho me dal diye. Do kadam sath chal kar woh juda ho gaye. aise logo ko toh hum safar nahi banaya karte.

Comments

  1. Well..Nice story brother...But tumhe apni story ke characters ke look par work krna chahiye....Vo dikhne me kaise h...Unka nature... Professional details n all....Story ki lines bahut hi dheeli dhaali hai...Even starting bahut loose hai.
    U have to collaborate ur imagination. Best of luck.

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

College ka pyar

gay love story baarish